Yeh zindagi hi kya kisi dost ke bin.
Duniya yeh hai bahut hi badi,
Zindagi ka kya, mehmaan do ghadi.
Zeene ke liye chahiye mazaa,
Nahi koi soonepan ki saza,
Chahiye to bas ek apna sa pyar,
Pyar jo bana de zindagi khushgawar,
Pyar jo har ek gum ko bhula de,
Pyar jo saare toofaan sula de,
Pyar mita de jo raahon ke kaante,
Pyar jo bas khushiyaan hi khushiyaan baante.
Aisa pyar kahaan milega,
Khushiyon ka phool kahaan khilega.
Yeh phool to bas khila sakta hai dost,
Khushi ko zindagi se mila sakta hai dost,
Dost hi kar sakta hai har raah mumkin,
Yeh zindagi hi kya kisi dost ke bin,
Maine khuda se kaha ek din.
Khuda ne kaha- Dekh aas paas,
Milenge tujhe bhi dost kai khas,
Dost kai sachche, dost kai nek,
Dost nahi ek, par dost anek.
Dost jagate jo jeene ki chah,
Dost dikhate jo jeene ki raah,
Dost bhula dete pal me jo gum,
Dost lutate jo pyar athaah,
Dost hansaate jo pal-pal har pal,
Dost bhula dete pal me jo kal,
Dost jo dukh me dete bhi kandhaa,
Aur macha dete pal me hulchul,
Dost jo tujhse sharaarat bhi karte,
Tere rooth jane se bhi hain darte,
Teri naadaniyon ko dete kar maaf,
Dost teri har adaa par jo marte.
Dekh, duniya dekh, dost kitne yahaan beshumaar,
Sun kya kahti fizaayen, dost rahe hain pukaar.
Khuda ne kaha, maine suna, dekha na jaane kahaan kahaan,
Dhoondha to paya, doston se sarabore tha saara jahaan,
Khush thi main ab, rahi thi chahak,
Doston se rahi thi, jo waadiyaan mahak.
Chhodenge na dosti ki kabhi raah, hai yeh waada,
Aur chaah hai bas itni, chahe raat ho ya din,
Ye zindagi na ho kisi dost ke bin,
Maine khuda se kaha ek din.