Saturday, February 10, 2007

Here I am


Main to hoon hawa ka ek jhonka,

Main to hoon bas pal do pal ka dhokha,
Mujhsa nahi koi is zameen par,
Main wo hoon jise kabhi na koi roka,
Main to hoon hawa ka ek jhonka.

Mera roop na koi pahchana,
Mera raaz na hi koi jana,
Mera rang mushkil hai dekh pana,
Main wo hoon jise saare jahaan ne mana.
Mujhko nahi aaztak koi toka,
Main to hoon hawa ka ek jhonka.

Maine banaya mausam bada rangeen,
Maine banaya sara samaa haseen,
Main hi banati bahaare dilnasheen,
Jeetna hai aakhiri tak, ye mujhe yakeen.
Main hoon zindagi, zindagi ko kisne roka,
Main to hoon hawa ka ek jhonka.