Aaj kuch gaayab hai,
Bahut khoja,
Par mil hi nahi raha..
Socha, us kamre ke kiwaad fir kholu,
Jahaan bachpan bitaya tha..
Mil gayi mujhe apni titliyon se bhari dibbi,
Wo gulaab ki sookhi pankhudiyaan,
Wo ret se bhari shishi,
Aur seepiyon ka khajaana..
Kuch patange bhi mili,
Aur kaagaz ki naav bhi..
Ek kone me ek katori rakhi thi,
Socha tha kisi raat dhoop na mile to kaam aayegi,
Ek chammach bhi rakhi thi,
Usme jharna bhar ke rakha tha..
Par jo barf ka gola saja ke rakha tha,
Uske to nishaan hi dikhte nahi ab..
Sab ojhal ho gaya hai..
Bilkul meri maasoomiyat ki tarah
Bahut khoja use..
Par kahin mil hi nahi rahi..!!