Tuesday, December 5, 2006
Kya Kashish hai...... Something is there in the Beauty
Sunday, December 3, 2006
Socho to kya hoga?
Kavita kya hai?
Kavita.... Kya hai yeh? Kya hai yeh phool gulaab ka?
Kavita.... Kya hai yeh? Kya hai yeh sukoon khwaab ka?
Kavita.... Kya hai yeh? Kya hai yeh junoon shawaab ka?
Kavita.... Kya hai yeh? Kya hai yeh suroor sharaab ka?
Kavita.... Kya hai? Baadal hai? Panchhi hai? Nadiyaa hai?
Kavita.... Kya hai? Parwat hai? Ambar hai? Sadiyaa hai?
Kavita.... Kya hai? Kya hai yeh reshmi rut?
Kavita.... Kya hai? Kya hai rimjhimi barsaat?
Kavita.... Kya hai? Kya hai yeh koi din?
Kavita.... Kya hai? Kya hai yeh chaandni raat?
Kavita.... Kya hai yeh? Kya hai yeh koi saaz?
Kavita.... Kya hai yeh? Kya hai iska raaz?
For my Loving SIS
Dekhi duniya saari par, tujhsa nahi koi dekha,
Jeewan hai bas ek, saral si seedhi rekha.
Manzil nahi hai koi, phir bhi hai ek raah,
Phir kis se kaisa darr, aur kaisi koi chah.
Nadiyaan bhi to rekha hain, bas bahte chale jana hai,
Door kahin samandar me jakar mil jana hai.
Pakshi bhi to yahi daastaan karte hain bayaan,
Faila lo sare pankh aur chulo aasmaan.
Ant kabhi aata nahi, door kshitiz tak bhi,
Baar baar kah raha yahi, saagar agaah.
Manzil nahi hai koi, phir bhi hai ek raah,
Phir kis se kaisa darr, aur kaisi koi chah.
Hawaayen door gagan tak, yahi geet gaati hain,
Faila le aanchal, tujhe khushiyaan bulati hain.
Sadiyaan ho gayi parwat, kabhi thaka nahi,
Kabhi mukaabla koi, kar saka nahi.
Baati deepak me, sadaa hi jalti hai,
Rekha bhi jeewan me sadaa hi chalti hai.
Anant tak hai prem, anant hai jahaan,
Hum bhi karte hain tumhe, pyar athaah.
Manzil nahi hai koi, phir bhi hai ek raah,
Phir kis se kaisa darr, aur kaisi koi chah.
Dekhi duniya saari, tujhsa nahi koi dekha,
Jeewan hai bas ek, saral si seedhi rekha.
Saturday, December 2, 2006
Thankyou God.... for the life
This poem was written when I was in time of great despairs. When I was disappointed with my life, disappointed with the atmosphere around me.... At that time, a sudden light enlightened my heart and it told me that, Life is the only Sweetest thing that God has given to us.... So live it to the fullest.... So, I just want to say Thanks once to the God who showed me the right path....
Shukriya ae Khuda,
Jo tune hame yeh zindagi di,
Hansne aur hansane ke liye,
Khush rahne aur muskurane ke liye,
Nafrat ki deewaren mitane ke liye,
Pyar is duniya par lutane ke liye,
Preetimay jeewan bitane ke liye,
Swarg is jahaan ko banane ke liye,
Har din ek utsav manane ke liye,
Jeewan me mithas badhane ke liye,
Aasmaan aur bulandiyaan chhu jane ke liye,
Krodh aur irshya par vijay pane ke liye,
Sabko apna banane ke liye,
Khush rahne aur khushi lutane ke liye,
Jeewan ye shaan se jee jaane ke liye,
Shukriya......