Sunday, December 3, 2006

Socho to kya hoga?


This poem is all about the thinking and the real way of living life....
What is there in the thinking? Is it making our life hard? Or is making it more easier to live?
Just think at once.... and the world will be yours....

(I wrote this poem only after coming to the college life and also got a prize for it in an event held at our college)

Suno Saathiyon, Namaskaar, Aadaab Arz Hai, Sat Shri Akaal,
Kyon ho pareshaan, kyon ho itne behaal,
Yahaan hai swaagat aapka, macha lo jitni chahe dhamaal,
Hanslo muskaalo thoda - Kaho kaisa hai khyaal?

Baat to bhai nayi hai, nahi hai koi purani,
Kya meri, kya teri, hai sabki ek kahaani.
Bita di sochne me, abhi tak apni umra saari,
Aaz bina soche din guzaara, dekha zindagi hai kitni pyari.
Chaar din ki hi to yeh zindagi hai, pal bhar me yeh guzar jayegi,
Is ek pal ko to jeele jee bharke, nahi to yeh bhi tadpaa jayegi.
Zindagi jeene ke liye, sochna zaroori bilkul nahi,
Par hum soche bhi, to kya hoga...... Jeena yahin, hai marna yahin.

Chalo aaz phir se, hum soche ek baar,
Lekin sochne ka hoga alag andaaz.
Zindagi ko rulana nahi, khushgawaar banana hai,
Socho to kya hoga, phir aisi zindagi ka raaz.

Abhi to hum chhote hain, par itne bhi nahi khote hain,
Shuru huye hain naye-naye college, badh rahi hai din pe din knowledge.
Yahaan aake kuch duniya aur hai humne dekhi,
Paye hain kuch anubhav, aur sochi hain kuch baat,
Kitna achchha ho din me, jo ho sirf aath ghante,
Aur beete woh saara waqt bhi, manate huye chaandni raat.
Saptaah bhi badle zaldi, maheene me baar-baar,
Din bas aaye do hi, shanivaar aur ravivaar.
Poora din masti me beete, khaate-peete-sote,
Na jaana pade class kabhi, sapne me bhi rote-rote.
College agar jaana bhi padhe, to ho sirf jagah teen,
Ek hamara Computer Centre, masti bhare Club aur Canteen.
Saara samay bitaaye hum kisi jheel ke kinaare,
Aur soche sapne bade haseen aur pyaare-pyaare.

Socho, doston socho, sochne me koi Tax nahi lagega,
Kuch mazedaar, yaadgaar socho, zindagi bhar woh yaad rahega.
Socho to duniya kuch bhi nahi, aur socho to yeh hai badi hi haseen,
Socho to yeh badi berang hai aur, socho to hai dilkush, dilnasheen.

Sochna samay ki zaroorat hai yaaron, kuch bhi socho, par zaroor socho,
Socho to kya hoga? Yeh na socho kabhi, Par duniya tumhare sochne se hai, yeh zaroor socho.

No comments:

Post a Comment

Be it a Compliment or a Critique, Feel Free to Comment!