Saturday, February 20, 2010

Chhoo lo wo Unchaiyaan


Jeewan ke is anubhav me,
Kai daur aise aayenge,
Kabhi khatthe, kabhi meethe,
Kabhi Sunahre pal laayenge,
To laayenge kabhi wo,
Pal gamo ki aandhi ke,
Kabhi wo aansu, baarish
Ban ke barsaayenge.

Wo banenge vishaal baadha,
Rokenge teri raah,
Chahenge tujhe haraana,
Kamjor karke teri chaah.
Par tu ye yaad rakhna,
Aur karna ek vishwaas,
Par nahi hain tere, to kya,
Chhuna hai aakash.

Lena tu seekh sab se,
Chahe wo ho koi rekha,
Manzil nahi hai uski,
Par chalti rahe hamesha.
Dekhna tu maati ka deepak,
Aur baati ka samarpan,
Dene prakash duniya ko,
Wo jalti rahe hamesha.

Sadiyaan ho gayi, parwat bhi
Kabhi thaka nahi,
Aur mukaabla koi,
Kar sakaa nahi.
Sun ye hawaa bhi,
Kya geet gaati hai,
Faila le pankh iraado ke,
Unchaiyaan bulati hain.

Aaz tu na thakna,
Aaz tu na rukna,
Chhoo le saara aakash,
Sab hai tera apna.
Ye jeewan hai, yahaan koi
Kal nahi jaanta,
Tu ud le aaz jee bhar,
Sach kar le apna sapna.

Tu chhoo le har khushi,
Tu chhoo le manzil,
Tu chhoo le aaz ruh,
Tu chhoo le saare dil,
Tu chhoo le saara jahaan,
Tu chhoo le haseen samaa,
Tu chhoo le har unchaayi,
Tu chhoo le aasmaan...
Tu chhoo le aasmaan...
Tu chhoo le saara jahaan....

Shhhh...!!!


Shhhh....
Yahaan shor na kar,
Sun is sannaate ko,
Bahut kuch kahna chahta hai yeh,
Dekh is andhere ko,
Band aankho se,
Apni hi parchhaai dikhana chahta hai yeh.
Kitna kuch sunane ko,
Khaamoshiyo ki cheekh,
Kitna kuch dikhane ko,
Dil me dard, aansuon me gum,
Pal-pal tadapti saanse,
Chahti hain zindagi ki kaid se aazaadi,
Par ye pyasi nigaahe,
Aaz bhi ummeed karti hain sookhe huye sagar se,
Shayad koi naya aakaash,
Andhere ko cheer kar,
Kuch boond amrit, sagar ko dene wala ho,
Shayad ek toofaan, ek bijli,
Saare sannaate aur andhere ko,
Khatm kar dene wale ho,
Shayad mil rahi ho kahin se,
Kuch udhaar ki saanse,
Shayad ek nayaa sooraj,
Kahin janm lene wala ho.
Kya pata, kal kya ho?
Zindagi ret ki tarah fisal rahi hai,
Par hum kar sakte hain to kya?
Sirf ek ummeed,
Shayad zindagi samay ke sath tham jaye,
Udhaar ki saanse, maut ke khauf ko mitaa jaayen,
Ya phir...
Ek aur koshish,
Ki yahaan koi shor na ho,
Kyunki... sannaata,
Bahut kuch kahna chahta hai yeh....

Main yeh nahi hoon!


Aksar jab bhi aate jaate, hain log mujhe kuch batlaate,
Main na kah paaun kuch bhi unhe, par main hoon nahi jo wo jatlaate.

Koi mujhe sundar kahta hai, koi kahe, main hoon buddhimaan,
koi deta hai darzaa mahaan ka, par yeh main nahi, main hoon sirf insaan.

Koi kahta mujhe hai rachnakaar, koi kahe main hoon chitrakaar,
Kai log kahte hain vigyaan ki chhaatra, to kai log kahte hain sirf bekaar.

Nahin samajh sakte wo, mere rango ki udaan,
Mere sapne, mere armaan, ek panchhi ki daastaan.

Nahin samajh sakte wo, mere dil me chhipe jazbaat,
Chaand aur chaandni raat, shamaa aur barsaat.

Nahin samajh sakte wo, mere shabdo ki gahraayi,
Jalti huyi diyasalayi, bheed me bhi tanhaayi.

Nahin samajh sakte wo, kya galat hai, kya sahi,
Kya door hai, kya yahin, kya hoon main, kya nahin.

Maana main nahi hoon, samudra si vishaal,
Parwat si atal, aasmaan si buland.

Maana main nahi hoon, hawaa si mastmaula,
Jharne si chanchal, gulaab si komal.

Main aasmaan bhi nahi, au dharaa bhi nahi hoon,
Had se zyada nahi, par zaraa bhi nahi hoon.

Kaun kahta hai main, duniya me khaas nahi hoon,
Jo pal me toot jaye, main wo vishwaas nahi hoon.

Main aatma hoon, sirf shareer nahi hoon,
Jo kabhi prem na kar paye, wo tasveer nahi hoon.
Mujhe jaanna to itna aasaan nahi hoga,
Par haqikat hoon main, koi takdeer nahi hoon.

Koi kal bhi nahi, koi aaz nahi hoon,
Dil ke taaro se na mil jaye, aisa saaz nahi hoon,
Main yeh bhi nahi, aur weh bhi nahi hoon,
Main sirf "Main" hoon, dafn raaz nahi hoon.

Wednesday, February 10, 2010

And it happened today morning...


On few mornings, we see those dreams which are weird yet so beautiful... and today's morning happened with one such beauty.. I wish I could see the climax too, but if I would have seen that, I would have missed the fun of suspense! :))


So, what was this surprising dream about? Do you really wanna know? B'cause this time, this isn't something I need to really hide. After-all, it was just a dream! :D



It started with a phone call..
A known number flashed on my mobile screen.
I picked it up..
And then, a voice came.
The voice was a little shivering..
He said something.. then, played a song..
That was beautiful. A lovely romantic song.. telling the feeling of a person who loves someone passionately.
There was silence in the air, but it said more than any word can say. There were questions in those words, and emotions which deserved an answer. I was too much lost in the songs.. and thoughts of 'him'.
Then another song came up, and then another.. and another..
And I woke up! :( :|

I did get no chance to say anything.
All I wished at that moment was.. that I could sleep a l'il more...! :D