Saturday, February 20, 2010

Shhhh...!!!


Shhhh....
Yahaan shor na kar,
Sun is sannaate ko,
Bahut kuch kahna chahta hai yeh,
Dekh is andhere ko,
Band aankho se,
Apni hi parchhaai dikhana chahta hai yeh.
Kitna kuch sunane ko,
Khaamoshiyo ki cheekh,
Kitna kuch dikhane ko,
Dil me dard, aansuon me gum,
Pal-pal tadapti saanse,
Chahti hain zindagi ki kaid se aazaadi,
Par ye pyasi nigaahe,
Aaz bhi ummeed karti hain sookhe huye sagar se,
Shayad koi naya aakaash,
Andhere ko cheer kar,
Kuch boond amrit, sagar ko dene wala ho,
Shayad ek toofaan, ek bijli,
Saare sannaate aur andhere ko,
Khatm kar dene wale ho,
Shayad mil rahi ho kahin se,
Kuch udhaar ki saanse,
Shayad ek nayaa sooraj,
Kahin janm lene wala ho.
Kya pata, kal kya ho?
Zindagi ret ki tarah fisal rahi hai,
Par hum kar sakte hain to kya?
Sirf ek ummeed,
Shayad zindagi samay ke sath tham jaye,
Udhaar ki saanse, maut ke khauf ko mitaa jaayen,
Ya phir...
Ek aur koshish,
Ki yahaan koi shor na ho,
Kyunki... sannaata,
Bahut kuch kahna chahta hai yeh....

No comments:

Post a Comment

Be it a Compliment or a Critique, Feel Free to Comment!